kabk o qumri mein hai jhagda ki chaman kis ka hai
kal bata degi khizaan ye ki watan kis ka hai
faisla gardish-e-dauraan ne kiya hai sau baar
marv kis ka hai badkhshaan o khutan kis ka hai
dam se yusuf ke jab aabaad tha yaqoob ka ghar
charkh kehta tha ki ye bait-e-huzn kis ka hai
mutmain is se musalmaan na maseehi na yahood
dost kya jaaniye ye charkh-e-kuhan kis ka hai
wa'iz ik aib se tu paak hai ya zaat-e-khuda
warna be-aib zamaane mein chalan kis ka hai
aaj kuchh aur dinon se hai siva istighraaq
azm-e-taskheer phir ai sheikh-e-zaman kis ka hai
aankh padti hai har ik ahl-e-nazar ki tum par
tum mein roop ai gul o nasreen o saman kis ka hai
ishq udhar aql idhar dhun mein chale hain teri
rasta ab dekhiye dono mein kathin kis ka hai
shaan dekhi nahin gar tu ne chaman mein us ki
valvala tujh mein ye ai murgh-e-chaman kis ka hai
hain fasaahat mein masal wa'iz o haali dono
dekhna ye hai ki be-laag sukhun kis ka hai
कब्क ओ क़ुमरी में है झगड़ा कि चमन किस का है
कल बता देगी ख़िज़ाँ ये कि वतन किस का है
फ़ैसला गर्दिश-ए-दौराँ ने किया है सौ बार
मर्व किस का है बदख़शान ओ ख़ुतन किस का है
दम से यूसुफ़ के जब आबाद था याक़ूब का घर
चर्ख़ कहता था कि ये बैत-ए-हुज़न किस का है
मुतमइन इस से मुसलमाँ न मसीही न यहूद
दोस्त क्या जानिए ये चर्ख़-ए-कुहन किस का है
वाइ'ज़ इक ऐब से तू पाक है या ज़ात-ए-ख़ुदा
वर्ना बे-ऐब ज़माने में चलन किस का है
आज कुछ और दिनों से है सिवा इस्तिग़राक़
अज़्म-ए-तस्ख़ीर फिर ऐ शेख़-ए-ज़मन किस का है
आँख पड़ती है हर इक अहल-ए-नज़र की तुम पर
तुम में रूप ऐ गुल ओ नसरीन ओ समन किस का है
इश्क़ उधर अक़्ल इधर धुन में चले हैं तेरी
रस्ता अब देखिए दोनों में कठिन किस का है
शान देखी नहीं गर तू ने चमन में उस की
वलवला तुझ में ये ऐ मुर्ग़-ए-चमन किस का है
हैं फ़साहत में मसल वाइ'ज़ ओ 'हाली' दोनों
देखना ये है कि बे-लाग सुख़न किस का है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari