baat kuchh ham se ban na aayi aaj | बात कुछ हम से बन न आई आज

  - Altaf Hussain Hali

baat kuchh ham se ban na aayi aaj
bol kar ham ne munh ki khaai aaj

chup par apni bharam the kya kya kuchh
baat bigdi bani banaai aaj

shikwa karne ki khoo na thi apni
par tabeeyat hi kuchh bhar aayi aaj

bazm saaqi ne di ult saari
khoob bhar bhar ke khum lundhaai aaj

maasiyat par hai der se ya rab
nafs aur shara mein ladai aaj

ghalib aata hai nafs-e-doon ya sharai
dekhni hai tiri khudaai aaj

chor hai dil mein kuchh na kuchh yaaro
neend phir raat bhar na aayi aaj

zad se ulfat ki bach ke chalna tha
muft haali ne chot khaai aaj

बात कुछ हम से बन न आई आज
बोल कर हम ने मुँह की खाई आज

चुप पर अपनी भरम थे क्या क्या कुछ
बात बिगड़ी बनी बनाई आज

शिकवा करने की ख़ू न थी अपनी
पर तबीअत ही कुछ भर आई आज

बज़्म साक़ी ने दी उलट सारी
ख़ूब भर भर के ख़ुम लुंढाई आज

मासियत पर है देर से या रब
नफ़्स और शरा में लड़ाई आज

ग़ालिब आता है नफ़्स-ए-दूँ या शरअ'
देखनी है तिरी ख़ुदाई आज

चोर है दिल में कुछ न कुछ यारो
नींद फिर रात भर न आई आज

ज़द से उल्फ़त की बच के चलना था
मुफ़्त 'हाली' ने चोट खाई आज

  - Altaf Hussain Hali

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari