vyarth hi surkhiyaan nahin milti
daan mein taaliyan nahin milti
ek ki naukri nahin lagti
paanch ko rotiyaan nahin milti
varna main bhi khareed leta maa
shehar mein loriyaan nahin milti
tum ise mela kaise kahte ho
jab yahan choodiyaan nahin milti
aaj vo phool bhi nahin khilte
aaj vo titliyan nahin milti
cake milta hai janmdin par ab
kyun kahi boondiyaan nahin milti
pichhle sab karm dekhe jaate hain
aise hi betiyaan nahin milti
व्यर्थ ही सुर्ख़ियाँ नहीं मिलती
दान में तालियाँ नहीं मिलती
एक की नौकरी नहीं लगती
पाँच को रोटियाँ नहीं मिलती
वरना मैं भी ख़रीद लेता माँ
शहर में लोरियाँ नहीं मिलती
तुम इसे मेला कैसे कहते हो
जब यहाँ चूड़ियाँ नहीं मिलती
आज वो फूल भी नहीं खिलते
आज वो तितलियाँ नहीं मिलती
केक मिलता है जन्मदिन पर अब
क्यों कहीं बूंदियाँ नहीं मिलती
पिछले सब कर्म देखे जाते हैं
ऐसे ही बेटियाँ नहीं मिलती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Mishra 'Anant'
our suggestion based on Aman Mishra 'Anant'
As you were reading Maa Shayari Shayari