na mushk-boo hai na hai zaafaraan ki khushboo
hareem-e-jaan mein hai ik mehrbaan ki khushboo
main dekhti hi nahin khwaab unche mahlon ke
mujhe pasand hai kacche makaan ki khushboo
isee zameen mein ik din panaah leni hai
ki is zameen mein hai aasmaan ki khushboo
kahi bhi jaaun mere saath saath rahti hai
kisi ki yaad kisi ke dhyaan ki khushboo
mere gulaab se chehre pe kya kahoon kaise
bahaar-e-nau hai mere khaandaan ki khushboo
kisi se milne ke ba'ad aa gaya yaqeen mujh ko
dilon ko chhooti hai meethi zabaan ki khushboo
pukaara jab bhi kisi ne mujhe wafa kah kar
badal gai hai yaqeen mein gumaan ki khushboo
न मुश्क-बू है न है ज़ाफ़रान की ख़ुशबू
हरीम-ए-जाँ में है इक मेहरबान की ख़ुशबू
मैं देखती ही नहीं ख़्वाब ऊँचे महलों के
मुझे पसंद है कच्चे मकान की ख़ुशबू
इसी ज़मीन में इक दिन पनाह लेनी है
कि इस ज़मीन में है आसमान की ख़ुशबू
कहीं भी जाऊँ मिरे साथ साथ रहती है
किसी की याद किसी के ध्यान की ख़ुशबू
मिरे गुलाब से चेहरे पे क्या कहूँ कैसे
बहार-ए-नौ है मिरे ख़ानदान की ख़ुशबू
किसी से मिलने के बा'द आ गया यक़ीं मुझ को
दिलों को छूती है मीठी ज़बान की ख़ुशबू
पुकारा जब भी किसी ने मुझे वफ़ा कह कर
बदल गई है यक़ीं में गुमान की ख़ुशबू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amatul Hai Wafa
our suggestion based on Amatul Hai Wafa
As you were reading Khushboo Shayari Shayari