gar mil jaati ulfat bhi yun saste mein | गर मिल जाती उल्फ़त भी यूँ सस्ते में

  - Ambar

gar mil jaati ulfat bhi yun saste mein
farq na padta mujhko tujh bin rahne mein

mere kaaran kabhi nahin tu roega
ye bhi to shaamil tha tere vaade mein

bura kisi insaan ko kehne se pehle
shakl bhi apni dekh liya kar sheeshe mein

gar mil jaao dil ki baatein chaar karein
lekin hamse milna kahi akela mein

गर मिल जाती उल्फ़त भी यूँ सस्ते में
फ़र्क न पड़ता मुझको तुझ बिन रहने में

मेरे कारण कभी नहीं तू रोएगा
ये भी तो शामिल था तेरे वादे में

बुरा किसी इंसान को कहने से पहले
शक़्ल भी अपनी देख लिया कर शीशे में

गर मिल जाओ दिल की बातें चार करें
लेकिन हमसे मिलना कहीं अकेले में

  - Ambar

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambar

As you were reading Shayari by Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambar

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari