waqt ki intiha talak waqt ki jast ameer-imaam
hast ki bood ameer-imaam bood ki hast ameer-imaam
hijr ka mahtaab hai neend na koi khwaab hai
tishna-labi sharaab hai nashshe mein mast ameer-imaam
sakht bahut hai marhala dekhiye kya ho faisla
tegh-b-kaf haqeeqaten qalb-b-dast ameer-imaam
zakham bahut mile magar aaj bhi hai uthaaye sar
dekh jahaan-e-fitna-gar teri shikast ameer-imaam
us ke tamaam hum-safar neend ke saath ja chuke
khwaab-kade mein rah gaya khwaab-parast ameer-imaam
वक़्त की इंतिहा तलक वक़्त की जस्त 'अमीर-इमाम'
हस्त की बूद 'अमीर-इमाम' बूद की हस्त 'अमीर-इमाम'
हिज्र का माहताब है नींद न कोई ख़्वाब है
तिश्ना-लबी शराब है नश्शे में मस्त 'अमीर-इमाम'
सख़्त बहुत है मरहला देखिए क्या हो फ़ैसला
तेग़-ब-कफ़ हक़ीक़तें क़ल्ब-ब-दस्त 'अमीर-इमाम'
ज़ख़्म बहुत मिले मगर आज भी है उठाए सर
देख जहान-ए-फ़ित्ना-गर तेरी शिकस्त 'अमीर-इमाम'
उस के तमाम हम-सफ़र नींद के साथ जा चुके
ख़्वाब-कदे में रह गया ख़्वाब-परस्त 'अमीर-इमाम'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Sharaab Shayari Shayari