na bewafaai ka dar tha na gham judaai ka | न बेवफ़ाई का डर था न ग़म जुदाई का

  - Ameer Minai

na bewafaai ka dar tha na gham judaai ka
maza mein kya kahoon aaghaaz-e-aashnaai ka

kahaan nahin hai tamasha tiri khudaai ka
magar jo dekhne de rob kibriyaai ka

vo na-tawan hoon agar nabz ko hui jumbish
to saaf jod juda ho gaya kalaaee ka

shab-e-visaal bahut kam hai aasmaan se kaho
ki jod de koi tukda shab-e-judaai ka

ye josh-e-husn se tang aayi hai qaba in ki
ki band band hai khwaahan girah-kushaai ka

kamaan haath se rakh said-gaah-e-irfaan mein
ki teer said hai yaa daam-e-na-rasaai ka

vo bad-naseeb hoon yaar aaye mere ghar to bane
simat ke vasl ki shab til rukh-e-judaai ka

hazaaron kaafir o mumin pade hain sajde mein
buton ke ghar mein bhi samaan hai khudaai ka

tamaam ho gaye ham pehle hi nigaah mein haif
na raat vasl ki dekhi na din judaai ka

nahin hai mohr lifaafa pe khat ke ai qaasid
ye daagh hai meri qismat ki na-rasaai ka

naqaab daal ke ai aaftaab-e-hashr nikal
khuda se dar ye kahi din hai khud-numaai ka

nahin qaraar ghadi bhar kisi ke pahluu mein
ye zauq hai tire naavak ko dilrubaaai ka

mari taraf se koi ja ke kohkan se kahe
nahin nahin ye mahal zor-aazmaai ka

kaha jo main ne ki main khaak-e-raah hoon tera
to bole hai abhi pindaar khud-numaai ka

junoon jo meri taraf ho vo jast-o-khez karoon
ki dil ho toot ke tukde shikasta-paai ka

ameer ravaiyye apne naseeb ko aisa
ki ho saped siyah abr na-rasaai ka

न बेवफ़ाई का डर था न ग़म जुदाई का
मज़ा में क्या कहूँ आग़ाज़-ए-आश्नाई का

कहाँ नहीं है तमाशा तिरी ख़ुदाई का
मगर जो देखने दे रोब किबरियाई का

वो ना-तवाँ हूँ अगर नब्ज़ को हुई जुम्बिश
तो साफ़ जोड़ जुदा हो गया कलाई का

शब-ए-विसाल बहुत कम है आसमाँ से कहो
कि जोड़ दे कोई टुकड़ा शब-ए-जुदाई का

ये जोश-ए-हुस्न से तंग आई है क़बा इन की
कि बंद बंद है ख़्वाहाँ गिरह-कुशाई का

कमान हाथ से रख सैद-गाह-ए-इरफ़ाँ में
कि तीर सैद है याँ दाम-ए-ना-रसाई का

वो बद-नसीब हूँ यार आए मेरे घर तो बने
सिमट के वस्ल की शब तिल रुख़-ए-जुदाई का

हज़ारों काफ़िर ओ मोमिन पड़े हैं सज्दे में
बुतों के घर में भी सामान है ख़ुदाई का

तमाम हो गए हम पहले ही निगाह में हैफ़
न रात वस्ल की देखी न दिन जुदाई का

नहीं है मोहर लिफ़ाफ़ा पे ख़त के ऐ क़ासिद
ये दाग़ है मिरी क़िस्मत की ना-रसाई का

नक़ाब डाल के ऐ आफ़्ताब-ए-हश्र निकल
ख़ुदा से डर ये कहीं दिन है ख़ुद-नुमाई का

नहीं क़रार घड़ी भर किसी के पहलू में
ये ज़ौक़ है तिरे नावक को दिलरुबाई का

मरी तरफ़ से कोई जा के कोहकन से कहे
नहीं नहीं ये महल ज़ोर-आज़माई का

कहा जो मैं ने कि मैं ख़ाक-ए-राह हूँ तेरा
तो बोले है अभी पिंदार ख़ुद-नुमाई का

जुनूँ जो मेरी तरफ़ हो वो जस्त-ओ-ख़ेज़ करूँ
कि दिल हो टूट के टुकड़े शिकस्ता-पाई का

'अमीर' रवैय्ये अपने नसीब को ऐसा
कि हो सपेद सियह अब्र ना-रसाई का

  - Ameer Minai

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari