ya-rab shab-e-visaal ye kaisa gajr baja | या-रब शब-ए-विसाल ये कैसा गजर बजा

  - Ameer Minai

ya-rab shab-e-visaal ye kaisa gajr baja
agle pahar ke saath hi pichhla pahar baja

aawaaz-e-soor sun ke kaha dil ne qabr mein
kis ki baraat aayi ye baaja kidhar baja

kahte hain aasmaan jo tumhaare makaan ko ham
kehta hai aftaab durust aur qamar baja

jaago nahin ye khwaab ka mauqa musafiro
naqqaara tak bhi koch ka waqt-e-sehr baja

taameer maqabre ki hai laazim bajaaye-qasr
zar-daaron se kaho ki karein sarf-e-zar baja

hain ham to shaadmaan ki hai khat mein payaam-e-wasl
bagle khushi se tu bhi to ai nama-bar baja

tujh ko nahin jo un se mohabbat kahaan mujhe
taali na ek haath se ai be-khabar baja

nafrat hai ye khushi se ki ashk apne gir pade
ham-raah taziyaa ke bhi baaja agar baja

jaa-e-qayaam manzil-e-hasti na thi ameer
utre the ham sira mein ki kos-e-safar baja

या-रब शब-ए-विसाल ये कैसा गजर बजा
अगले पहर के साथ ही पिछ्ला पहर बजा

आवाज़-ए-सूर सुन के कहा दिल ने क़ब्र में
किस की बरात आई ये बाजा किधर बजा

कहते हैं आसमाँ जो तुम्हारे मकाँ को हम
कहता है आफ़्ताब दुरुस्त और क़मर बजा

जागो नहीं ये ख़्वाब का मौक़ा मुसाफ़िरो
नक़्क़ारा तक भी कोच का वक़्त-ए-सहर बजा

तामीर मक़बरे की है लाज़िम बजाए-क़स्र
ज़र-दारों से कहो कि करें सर्फ़-ए-ज़र बजा

हैं हम तो शादमाँ कि है ख़त में पयाम-ए-वस्ल
बग़लें ख़ुशी से तू भी तो ऐ नामा-बर बजा

तुझ को नहीं जो उन से मोहब्बत कहाँ मुझे
ताली न एक हाथ से ऐ बे-ख़बर बजा

नफ़रत है ये ख़ुशी से कि अश्क अपने गिर पड़े
हम-राह ताज़िया के भी बाजा अगर बजा

जा-ए-क़याम मंज़िल-ए-हस्ती न थी 'अमीर'
उतरे थे हम सिरा में कि कोस-ए-सफ़र बजा

  - Ameer Minai

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari