mere bas mein ya to ya-rab vo sitam-shiaar hota | मिरे बस में या तो या-रब वो सितम-शिआर होता - Ameer Minai

mere bas mein ya to ya-rab vo sitam-shiaar hota
ye na tha to kaash dil par mujhe ikhtiyaar hota

pas-e-marg kaash yun hi mujhe vasl-e-yaar hota
vo sar-e-mazaar hota main tah-e-mazaar hota

tira may-kada salaamat tire khum ki khair saaqi
mera nashsha kyun utarta mujhe kyun khumaar hota

main hoon na-muraad aisa ki bilak ke yaas roti
kahi pa ke aasraa kuch jo umeed-waar hota

nahin poochta hai mujh ko koi phool is chaman mein
dil-e-daag-daar hota to gale ka haar hota

vo maza diya tadap ne ki ye aarzoo hai ya-rab
mere dono pahluon mein dil-e-be-qaraar hota

dam-e-naz'a bhi jo vo but mujhe aa ke munh dikhaata
to khuda ke munh se itna na main sharmasaar hota

na malak sawaal karte na lahd fishaar deti
sar-e-raah-e-koo-e-qaatil jo mera mazaar hota

jo nigaah ki thi zalim to phir aankh kyun churaai
wahi teer kyun na maara jo jigar ke paar hota

main zabaan se tum ko saccha kaho laakh baar kah doon
ise kya karoon ki dil ko nahin e'tibaar hota

meri khaak bhi lahd mein na rahi ameer baaki
unhen marne hi ka ab tak nahin e'tibaar hota

मिरे बस में या तो या-रब वो सितम-शिआर होता
ये न था तो काश दिल पर मुझे इख़्तियार होता

पस-ए-मर्ग काश यूँ ही मुझे वस्ल-ए-यार होता
वो सर-ए-मज़ार होता मैं तह-ए-मज़ार होता

तिरा मय-कदा सलामत तिरे ख़ुम की ख़ैर साक़ी
मिरा नश्शा क्यूँ उतरता मुझे क्यूँ ख़ुमार होता

मैं हूँ ना-मुराद ऐसा कि बिलक के यास रोती
कहीं पा के आसरा कुछ जो उमीद-वार होता

नहीं पूछता है मुझ को कोई फूल इस चमन में
दिल-ए-दाग़-दार होता तो गले का हार होता

वो मज़ा दिया तड़प ने कि ये आरज़ू है या-रब
मिरे दोनों पहलुओं में दिल-ए-बे-क़रार होता

दम-ए-नज़अ भी जो वो बुत मुझे आ के मुँह दिखाता
तो ख़ुदा के मुँह से इतना न मैं शर्मसार होता

न मलक सवाल करते न लहद फ़िशार देती
सर-ए-राह-ए-कू-ए-क़ातिल जो मिरा मज़ार होता

जो निगाह की थी ज़ालिम तो फिर आँख क्यूँ चुराई
वही तीर क्यूँ न मारा जो जिगर के पार होता

मैं ज़बाँ से तुम को सच्चा कहो लाख बार कह दूँ
इसे क्या करूँ कि दिल को नहीं ए'तिबार होता

मिरी ख़ाक भी लहद में न रही 'अमीर' बाक़ी
उन्हें मरने ही का अब तक नहीं ए'तिबार होता

- Ameer Minai
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari