main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe | मैं रो के आह करूँगा जहाँ रहे न रहे

  - Ameer Minai

main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe
zameen rahe na rahe aasmaan rahe na rahe

rahe vo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe
makeen ki khair ho ya rab makaan rahe na rahe

abhi mazaar par ahbaab faatiha padh len
phir is qadar bhi hamaara nishaan rahe na rahe

khuda ke vaaste kalmaa buton ka padh zaahid
phir ikhtiyaar mein ghaafil zabaan rahe na rahe

khizaan to khair se guzri chaman mein bulbul ki
bahaar aayi hai ab aashiyaan rahe na rahe

chala to hoon paye izhaar-e-dard-e-dil dekhoon
huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe

ameer jama hain ahbaab dard-e-dil kah le
phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe

मैं रो के आह करूँगा जहाँ रहे न रहे
ज़मीं रहे न रहे आसमाँ रहे न रहे

रहे वो जान-ए-जहाँ ये जहाँ रहे न रहे
मकीं की ख़ैर हो या रब मकाँ रहे न रहे

अभी मज़ार पर अहबाब फ़ातिहा पढ़ लें
फिर इस क़दर भी हमारा निशाँ रहे न रहे

ख़ुदा के वास्ते कलमा बुतों का पढ़ ज़ाहिद
फिर इख़्तियार में ग़ाफ़िल ज़बाँ रहे न रहे

ख़िज़ाँ तो ख़ैर से गुज़री चमन में बुलबुल की
बहार आई है अब आशियाँ रहे न रहे

चला तो हूँ पए इज़हार-ए-दर्द-ए-दिल देखूँ
हुज़ूर-ए-यार मजाल-ए-बयाँ रहे न रहे

'अमीर' जमा हैं अहबाब दर्द-ए-दिल कह ले
फिर इल्तिफ़ात-ए-दिल-ए-दोस्ताँ रहे न रहे

  - Ameer Minai

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari