teer par teer lagao tumhein dar kis ka hai | तीर पर तीर लगाओ तुम्हें डर किस का है

  - Ameer Minai

teer par teer lagao tumhein dar kis ka hai
seena kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai

khauf-e-meezaan-e-qayaamat nahin mujh ko ai dost
tu agar hai mere palle mein to dar kis ka hai

koi aata hai adam se to koi jaata hai
sakht dono mein khuda jaane safar kis ka hai

chhup raha hai qafas-e-tan mein jo har taair-e-dil
aankh khole hue shaheen-e-nazar kis ka hai

naam-e-shaair na sahi sher ka mazmoon ho khoob
fal se matlab hamein kya kaam shajar kis ka hai

said karne se jo hai taair-e-dil ke munkir
ai kamaan-daar tire teer mein par kis ka hai

meri hairat ka shab-e-wasl ye bais hai ameer
sar b-zaanoo hoon ki zaanoo pe ye sar kis ka hai

तीर पर तीर लगाओ तुम्हें डर किस का है
सीना किस का है मिरी जान जिगर किस का है

ख़ौफ़-ए-मीज़ान-ए-क़यामत नहीं मुझ को ऐ दोस्त
तू अगर है मिरे पल्ले में तो डर किस का है

कोई आता है अदम से तो कोई जाता है
सख़्त दोनों में ख़ुदा जाने सफ़र किस का है

छुप रहा है क़फ़स-ए-तन में जो हर ताइर-ए-दिल
आँख खोले हुए शाहीन-ए-नज़र किस का है

नाम-ए-शाइर न सही शेर का मज़मून हो ख़ूब
फल से मतलब हमें क्या काम शजर किस का है

सैद करने से जो है ताइर-ए-दिल के मुंकिर
ऐ कमाँ-दार तिरे तीर में पर किस का है

मेरी हैरत का शब-ए-वस्ल ये बाइ'स है 'अमीर'
सर ब-ज़ानू हूँ कि ज़ानू पे ये सर किस का है

  - Ameer Minai

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari