vo sar-firi hawa thi sambhalna pada mujhe
main aakhiri charaagh tha jalna pada mujhe
mehsoos kar raha tha use apne aas paas
apna khayal khud hi badalna pada mujhe
suraj ne chhupte chhupte ujaagar kiya to tha
lekin tamaam raat pighalna pada mujhe
mauzoo-e-guftugoo thi meri khaamoshi kahi
jo zahar pee chuka tha ugalnaa pada mujhe
kuchh door tak to jaise koi mere saath tha
phir apne saath aap hi chalna pada mujhe
वो सर-फिरी हवा थी सँभलना पड़ा मुझे
मैं आख़िरी चराग़ था जलना पड़ा मुझे
महसूस कर रहा था उसे अपने आस पास
अपना ख़याल ख़ुद ही बदलना पड़ा मुझे
सूरज ने छुपते छुपते उजागर किया तो था
लेकिन तमाम रात पिघलना पड़ा मुझे
मौज़ू-ए-गुफ़्तुगू थी मिरी ख़ामुशी कहीं
जो ज़हर पी चुका था उगलना पड़ा मुझे
कुछ दूर तक तो जैसे कोई मेरे साथ था
फिर अपने साथ आप ही चलना पड़ा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari