agar masjid se waiz aa rahe hain
qadam kyun dagmagaaye ja rahe hain
kisi ki bewafaai ka gila tha
na jaane aap kyun sharmaa rahe hain
ye deewaana kisi ki kya sunega
ye deewane kise samjha rahe hain
manaane ke liye jashn-e-bahaaraan
nasheeman bhi jalaae ja rahe hain
ameer un ko hai fikr-e-chashm-e-nam bhi
vo daaman bhi bachaaye ja rahe hain
अगर मस्जिद से वाइज़ आ रहे हैं
क़दम क्यूँ डगमगाए जा रहे हैं
किसी की बेवफ़ाई का गिला था
न जाने आप क्यूँ शरमा रहे हैं
ये दीवाना किसी की क्या सुनेगा
ये दीवाने किसे समझा रहे हैं
मनाने के लिए जश्न-ए-बहाराँ
नशेमन भी जलाए जा रहे हैं
'अमीर' उन को है फ़िक्र-ए-चश्म-ए-नम भी
वो दामन भी बचाए जा रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Mazhab Shayari Shayari