vo sarfiree hawa thi sambhalna pada mujhe | वो सरफिरी हवा थी संभलना पड़ा मुझे - Ameer Qazalbash

vo sarfiree hawa thi sambhalna pada mujhe
main aakhiri charaagh tha jalna pada mujhe

mehsoos kar raha tha use apne aas paas
apna khayal khud hi badalna pada mujhe

suraj ne chhupte chhupte ujaagar kiya to tha
lekin tamaam raat pighalna pada mujhe

mauzoo-e-guftugoo thi meri khaamoshi kahi
jo zahar pee chuka tha ugalnaa pada mujhe

kuch door tak to jaise koi mere saath tha
phir apne saath aap hi chalna pada mujhe

वो सरफिरी हवा थी संभलना पड़ा मुझे
मैं आख़िरी चराग़ था जलना पड़ा मुझे

महसूस कर रहा था उसे अपने आस पास
अपना ख़याल ख़ुद ही बदलना पड़ा मुझे

सूरज ने छुपते छुपते उजागर किया तो था
लेकिन तमाम रात पिघलना पड़ा मुझे

मौज़ू-ए-गुफ़्तुगू थी मेरी ख़ामोशी कहीं
जो ज़हर पी चुका था उगलना पड़ा मुझे

कुछ दूर तक तो जैसे कोई मेरे साथ था
फिर अपने साथ आप ही चलना पड़ा मुझे

- Ameer Qazalbash
2 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari