vo ik lafz jo be-sada jaayega | वो इक लफ़्ज़ जो बे-सदा जाएगा - Ameer Qazalbash

vo ik lafz jo be-sada jaayega
wahi muddaton tak suna jaayega

koi hai jo mere ta'aqub mein hai
mujhe mera chehra dikha jaayega

vo ik shakhs jo dushman-e-jaan sahi
magar phir bhi apna kaha jaayega

jalegi koi mish'al-e-jaan abhi
magar phir andhera sa chha jaayega

nafi-e-jurat-e-haq-numaai sahi
magar kab kisi se kaha jaayega

yahan ik shajar muntazir sa bhi hai
ab aakhir kahaan tak chala jaayega

main vo mish'al-e-neem-shab hoon ameer
jise kal ka suraj bujha jaayega

वो इक लफ़्ज़ जो बे-सदा जाएगा
वही मुद्दतों तक सुना जाएगा

कोई है जो मेरे तआक़ुब में है
मुझे मेरा चेहरा दिखा जाएगा

वो इक शख़्स जो दुश्मन-ए-जाँ सही
मगर फिर भी अपना कहा जाएगा

जलेगी कोई मिशअल-ए-जाँ अभी
मगर फिर अंधेरा सा छा जाएगा

नफ़ी-ए-जुरअत-ए-हक़-नुमाई सही
मगर कब किसी से कहा जाएगा

यहाँ इक शजर मुंतज़िर सा भी है
अब आख़िर कहाँ तक चला जाएगा

मैं वो मिशअल-ए-नीम-शब हूँ 'अमीर'
जिसे कल का सूरज बुझा जाएगा

- Ameer Qazalbash
0 Likes

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari