bante hain farzaane log | बनते हैं फ़रज़ाने लोग

  - Ameer Qazalbash

bante hain farzaane log
kitne hain deewane log

dair o haram ki raah se hi
jaate hain may-khaane log

dekh ke mujh ko gum-sum hain
aaye the samjhaane log

kya sunte naaseh ki baat
ham thehre deewane log

neechi nazar se mujh ko na dekho
ghad lenge afsaane log

deewaana kahte hain ameer
khoob mujhe pahchaane log

बनते हैं फ़रज़ाने लोग
कितने हैं दीवाने लोग

दैर ओ हरम की राह से ही
जाते हैं मय-ख़ाने लोग

देख के मुझ को गुम-सुम हैं
आए थे समझाने लोग

क्या सुनते नासेह की बात
हम ठहरे दीवाने लोग

नीची नज़र से मुझ को न देखो
घड़ लेंगे अफ़्साने लोग

दीवाना कहते हैं 'अमीर'
ख़ूब मुझे पहचाने लोग

  - Ameer Qazalbash

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari