paai har ek raah-guzar par udaasiyaan | पाईं हर एक राह-गुज़र पर उदासियाँ

  - Ameer Qazalbash

paai har ek raah-guzar par udaasiyaan
nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan

khwaabida shehar jaagne waala hai laut aao
baithi hui hain shaam se ghar par udaasiyaan

main khauf se larzata raha padh nahin saka
phaili hui theen ek khabar par udaasiyaan

suraj ke haath sabz qabaon tak aa gaye
ab hain yahan har ek shajar par udaasiyaan

apne bhi khatt-o-khaal nigaahon mein ab nahin
is tarah chha gai hain nazar par udaasiyaan

faila raha hai kaun kabhi sochta hoon main
khwaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan

sab log ban gaye hain agar ajnabi to kya
chhod aayengi mujhe mere dar par udaasiyaan

पाईं हर एक राह-गुज़र पर उदासियाँ
निकली हुई हैं कब से सफ़र पर उदासियाँ

ख़्वाबीदा शहर जागने वाला है लौट आओ
बैठी हुई हैं शाम से घर पर उदासियाँ

मैं ख़ौफ़ से लरज़ता रहा पढ़ नहीं सका
फैली हुई थीं एक ख़बर पर उदासियाँ

सूरज के हाथ सब्ज़ क़बाओं तक आ गए
अब हैं यहाँ हर एक शजर पर उदासियाँ

अपने भी ख़त्त-ओ-ख़ाल निगाहों में अब नहीं
इस तरह छा गई हैं नज़र पर उदासियाँ

फैला रहा है कौन कभी सोचता हूँ मैं
ख़्वाबों के एक एक नगर पर उदासियाँ

सब लोग बन गए हैं अगर अजनबी तो क्या
छोड़ आएँगी मुझे मिरे दर पर उदासियाँ

  - Ameer Qazalbash

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari