tashheer apne dard ki har soo karaiye | तश्हीर अपने दर्द की हर सू कराइए

  - Amjad Islam Amjad

tashheer apne dard ki har soo karaiye
jee chahta hai minnat-e-tiflaan uthaiye

khushboo ka haath thaam ke kijeye talaash-e-rang
paanv ke naqsh dekh ke rasta banaaiye

phir aaj pattharon se mulaqaat kijie
phir aaj sathe-aab pe chehre banaaiye

har inkishaaf dard ke parde mein aayega
gar ho sake to khud se bhi khud ko chhupaaye

phoolon ka raasta nahin yaaro mera safar
paanv aziz hain to abhi loot jaaie

kab tak hina ke naam pe dete rahein lahu
kab tak nigaaar-e-dard ko dulhan banaaiye

amjad mataa-e-umr zara dekh-bhaal ke
aisa na ho ki ba'ad mein aansu bahaaiye

तश्हीर अपने दर्द की हर सू कराइए
जी चाहता है मिन्नत-ए-तिफ़्लाँ उठाइए

ख़ुश्बू का हाथ थाम के कीजे तलाश-ए-रंग
पाँव के नक़्श देख के रस्ता बनाइए

फिर आज पत्थरों से मुलाक़ात कीजिए
फिर आज सत्ह-ए-आब पे चेहरे बनाइए

हर इंकिशाफ़ दर्द के पर्दे में आएगा
गर हो सके तो ख़ुद से भी ख़ुद को छुपाए

फूलों का रास्ता नहीं यारो मिरा सफ़र
पाँव अज़ीज़ हैं तो अभी लूट जाइए

कब तक हिना के नाम पे देते रहें लहू
कब तक निगार-ए-दर्द को दुल्हन बनाइए

'अमजद' मता-ए-उम्र ज़रा देख-भाल के
ऐसा न हो कि बा'द में आँसू बहाइए

  - Amjad Islam Amjad

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari