labon ke darmiyaan ye faasla kyun hai bhala | लबों के दरमियाँ ये फ़ासला क्यों है भला

  - arjun chamoli

labon ke darmiyaan ye faasla kyun hai bhala
hamaare beech pehle ka gila kyun hai bhala

mere dil mein wahi chaahat abhi tak hai bachi
tera lab hi akela nirjala kyun hai bhala

mohabbat mein kabhi jalte the kundan ke liye
tapan ke baad bhi ye adh-jalaa kyun hai bhala

mere jazbaat ko thokar to maari thi tabhi
mera dil aaj tak bhi mubtala kyun hai bhala

wafa ke naam par to bewafaai tu ne kii
tere badle mera dil kaahila kyun hai bhala

abhi bhi aashna hoon par ye arjun tu bata
mere sar par gunaahon ka sila kyun hai bhala

लबों के दरमियाँ ये फ़ासला क्यों है भला
हमारे बीच पहले का गिला क्यों है भला

मेरे दिल में वही चाहत अभी तक है बची
तेरा लब ही अकेला निर्जला क्यों है भला

मोहब्बत में कभी जलते थे कुंदन के लिए
तपन के बाद भी ये अध-जला क्यों है भला

मेरे जज़्बात को ठोकर तो मारी थी तभी
मेरा दिल आज तक भी मुब्तला क्यों है भला

वफ़ा के नाम पर तो बेवफ़ाई तू ने की
तेरे बदले मेरा दिल काहिला क्यों है भला

अभी भी आश्ना हूँ पर ये 'अर्जुन' तू बता
मेरे सर पर गुनाहों का सिला क्यों है भला

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari