ye saba aaj tiri gul sii mahak laai hai
shaam phir aaj tiri yaad liye aayi hai
aashiqi sabr nahin main bhi bahut bikhra hoon
ye meri rooh nahin jism hai parchhaai hai
main kabhi ishq mein maghroor tha maana lekin
ye saza mujhko mili saath mein tanhaai hai
shehar badhta hi gaya log bahut aaye hai
kya siva koii tire aaj shanaasaai hai
pyaar kii baat chali aaj suno dil kii ye
jism kii baat nahin rooh ka saudaai hai
ये सबा आज तिरी गुल सी महक लाई है
शाम फिर आज तिरी याद लिए आई है
आशिक़ी सब्र नहीं मैं भी बहुत बिखरा हूँ
ये मिरी रूह नहीं जिस्म है परछाई है
मैं कभी इश्क़ में मग़रूर था माना लेकिन
ये सज़ा मुझको मिली साथ में तन्हाई है
शहर बढ़ता ही गया लोग बहुत आए है
क्या सिवा कोई तिरे आज शनासाई है
प्यार की बात चली आज सुनो दिल की ये
जिस्म की बात नहीं रूह का सौदाई है
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari