mera gunaah
toofaan ne bhi mujh ko hi ilzaam diya
kamzor darakht tha isliye gir gaya
abhi to main poora sookha bhi nahin tha
ki logon ne shaakhon ko kaat liya
jinhen raah mein maine chaaya di aur fal diye
baarish se bachaaya aur bheegne nahin diya
vo ghar utha le gaye mujhe arthi kii tarah
unhonne bhi mujh par koii taras nahin kiya
shaam ko angithi mein thoonsa aur aag dikhaai
khud ko thand se bachaane ko mujhe jala diya
phir bhi un kii nazaron mein maine gunaah kiya
ki girne ke baad koii fal nahin diya
“मेरा गुनाह”
तूफ़ान ने भी मुझ को ही इल्ज़ाम दिया
कमज़ोर दरख़्त था इसलिए गिर गया
अभी तो मैं पूरा सूखा भी नहीं था
कि लोगों ने शाख़ों को काट लिया
जिन्हें राह में मैंने छाया दी और फल दिए
बारिश से बचाया और भीगने नहीं दिया
वो घर उठा ले गए मुझे अर्थी की तरह
उन्होंने भी मुझ पर कोई तरस नहीं किया
शाम को अँगीठी में ठूँसा और आग दिखाई
ख़ुद को ठंड से बचाने को मुझे जला दिया
फिर भी उन की नज़रों में मैंने गुनाह किया
कि गिरने के बाद कोई फल नहीं दिया
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari