deti hai gala kat ke jo dastaar shahaadat
rakhti hai usi ka hi ye meyaar shahaadat
ik mulk bachaane mein gire laashein hazaaron
is paar shahaadat hai to us paar shahaadat
eimaan se mitti se faraaiz se wafa se
hoti hi nahin yaar subuk baar shahaadat
aayi jo kabhi aanch tirange ki ana par
ham ne bhi musalsal di dhuaan daar shahaadat
tera bhi yahi mulk hai mera bhi yahi mulk
kam tujhse nahin di hai har ik baar shahaadat
niyyat me bhala jis ki ho sauda-e-watan bas
kya dega bhala dekh vo gaddaar shahaadat
aati hai hamein yaad vo taqseem-e-watan ab
buniyaad rahi jis ki lahu-baar shahaadat
jazba ho agar dil mein to mit jaao watan par
ab bhi hai shaheedon ki talabgaar shahaadat
saahil ye siyaasat hai ise khaak hai matlab
voton ke liye sirf hai hathiyaar shahaadat
देती है गला कट के जो दस्तार शहादत
रखती है उसी का ही ये मेयार शहादत
इक मुल्क बचाने में गिरे लाशें हज़ारों
इस पार शहादत है तो उस पार शहादत
ईमान से मिट्टी से फ़राइज़ से वफ़ा से
होती ही नहीं यार सुबुक- बार शहादत
आई जो कभी आँच तिरंगे की अना पर
हम ने भी मुसलसल दी धुआँ- दार शहादत
तेरा भी यही मुल्क है मेरा भी यही मुल्क
कम तुझसे नहीं दी है हर इक बार शहादत
निय्यत मे भला जिस की हो सौदा-ए-वतन बस
क्या देगा भला देख वो ग़द्दार शहादत
आती है हमें याद वो तक़सीम-ए-वतन अब
बुनियाद रही जिस की लहू-बार शहादत
जज़्बा हो अगर दिल में तो मिट जाओ वतन पर
अब भी है शहीदों की तलबगार शहादत
साहिल ये सियासत है इसे ख़ाक है मतलब
वोटों के लिए सिर्फ़ है हथियार शहादत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Self respect Shayari Shayari