dukha ke dil jinhen sharmindagi nahin hoti
unhen kabhi koi haasil khushi nahin hoti
main jaanta hoon inhen phool hain ye kaagaz ke
badan mein inke koi taazgi nahin hoti
ye kis gunaah ki inko saza mili ya-rab
charaagh jalte hain aur raushni nahin hoti
udaani padtii hai majnu ko khaak sehra mein
junoon baghair kabhi aashiqi nahin hoti
koi jalata rahe laakh shama-e-ulfat ab
hamaare dil mein magar raushni nahin hoti
har ek dar pe phire maangte hue qatre
vo tishnagi bhi koi tishnagi nahin hoti
hamaare saath tera gham na hota mar jaate
koi bhi raat akela kati nahin hoti
koi bhi mujhko na pahchaanta yahan saahil
jo bewafaai tumhaari mili nahin hoti
दुखा के दिल जिन्हें शर्मिंदगी नहीं होती
उन्हें कभी कोई हासिल ख़ुशी नहीं होती
मैं जानता हूँ इन्हें फूल हैं ये काग़ज़ के
बदन में इनके कोई ताज़गी नहीं होती
ये किस गुनाह की इनको सज़ा मिली या-रब
चराग़ जलते हैं और रौशनी नहीं होती
उड़ानी पड़ती है मजनू को ख़ाक सहरा में
जुनूँ बग़ैर कभी आशिक़ी नहीं होती
कोई जलाता रहे लाख शमा-ए-उल्फ़त अब
हमारे दिल में मगर रौशनी नहीं होती
हर एक दर पे फिरे मांँगते हुए क़तरे
वो तिश्नगी भी कोई तिश्नगी नहीं होती
हमारे साथ तेरा ग़म न होता, मर जाते
कोई भी रात अकेले कटी नहीं होती
कोई भी मुझको न पहचानता यहाँ साहिल
जो बेवफ़ाई तुम्हारी मिली नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Rose Shayari Shayari