husn par jaan-e-haya jab se ye do til aaye
ham shareefon ki gali mein naye qaateel aaye
meri hasti mein utar jaaye tu ban kar ik rooh
meri aankhon mein tere ishq ki jhilmil aaye
dil to ye kehta hai rasta ho abhi aur taveel
paanv ye kahte hai ab saamne manzil aaye
har qasaai yahi chahe hai kate murga koi
aur wakeelon ki ye khwaahish hai muvakkil aaye
aap to chhodije maani na kisi ki ab tak
jhooth ke haq mein yahan aur bhi baatil aaye
ab agar ishq mein mit jaaun to parwaah nahin
apne shauhar se kaho mere muqaabil aaye
aap ki kashti to ab paar nahin ho sakti
kaise charkhaab se milne koi saahil aaye
हुस्न पर जान-ए-हया जब से ये दो तिल आए
हम शरीफ़ों की गली में नए क़ातिल आए
मेरी हस्ती में उतर जाए तू बन कर इक रूह
मेरी आँखों में तेरे इश्क़ की झिलमिल आए
दिल तो ये कहता है रस्ता हो अभी और तवील
पाँव ये कहते है अब सामने मंज़िल आए
हर क़साई यही चाहे है कटे मुर्ग़ा कोई
और वकीलों की ये ख़्वाहिश है मुवक्किल आए
आप तो छोड़िए मानी न किसी की अब तक
झूठ के हक़ में यहाँ और भी बातिल आए
अब अगर इश्क़ में मिट जाऊँ तो परवाह नहीं
अपने शौहर से कहो मेरे मुक़ाबिल आए
आप की कश्ती तो अब पार नहीं हो सकती
कैसे चरख़ाब से मिलने कोई साहिल आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Taareef Shayari Shayari