lab o rukhsaar ki qismat se doori
rahegi zindagi kab tak adhuri
bahut tadpa rahe hain do dilon ko
kai naazuk taqaze la-shuoori
kai raaton se hai aaghosh soona
kai raaton ki neenden hain adhuri
khuda samjhe junoon-e-justujoo ko
sar-e-manzil bhi hai manzil se doori
ajab andaaz ke shaam-o-sehar hain
koi tasveer ho jaise adhuri
khuda ko bhool hi jaaye zamaana
har ik jo aarzoo ho jaaye poori
लब ओ रुख़्सार की क़िस्मत से दूरी
रहेगी ज़िंदगी कब तक अधूरी
बहुत तड़पा रहे हैं दो दिलों को
कई नाज़ुक तक़ाज़े ला-शुऊरी
कई रातों से है आग़ोश सूना
कई रातों की नींदें हैं अधूरी
ख़ुदा समझे जुनून-ए-जुस्तुजू को
सर-ए-मंज़िल भी है मंज़िल से दूरी
अजब अंदाज़ के शाम-ओ-सहर हैं
कोई तस्वीर हो जैसे अधूरी
ख़ुदा को भूल ही जाए ज़माना
हर इक जो आरज़ू हो जाए पूरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asad Bhopali
our suggestion based on Asad Bhopali
As you were reading Sad Shayari Shayari