gham-e-hayaat se jab vaasta pada hoga
mujhe bhi aap ne dil se bhula diya hoga
suna hai aaj vo ghamgeen the malool se the
koi kharaab-e-wafa yaad aa gaya hoga
nawaazishein hon bahut ehtiyaat se warna
meri tabaahi se tum par bhi tabsira hoga
kisi ka aaj sahaara liya to hai dil ne
magar vo dard bahut sabr-aazma hoga
judaai ishq ki taqdeer hi sahi gham-khwaar
magar na jaane wahan un ka haal kya hoga
bas aa bhi jaao badal den hayaat ki taqdeer
hamaare saath zamaane ka faisla hoga
khayaal-e-qurbat-e-mahboob chhod daaman chhod
ki mera farz meri raah dekhta hoga
bas ek naara-e-rindaana ek zur'-e-talh
phir us ke baad jo aalam bhi ho naya hoga
mujhi se shikwa-e-gustaakhi-e-nazar kyun hai
tumhein to saara zamaana hi dekhta hoga
asad ko tum nahin pahchaante ta'ajjub hai
use to shehar ka har shakhs jaanta hoga
ग़म-ए-हयात से जब वास्ता पड़ा होगा
मुझे भी आप ने दिल से भुला दिया होगा
सुना है आज वो ग़मगीन थे मलूल से थे
कोई ख़राब-ए-वफ़ा याद आ गया होगा
नवाज़िशें हों बहुत एहतियात से वर्ना
मिरी तबाही से तुम पर भी तबसिरा होगा
किसी का आज सहारा लिया तो है दिल ने
मगर वो दर्द बहुत सब्र-आज़मा होगा
जुदाई इश्क़ की तक़दीर ही सही ग़म-ख़्वार
मगर न जाने वहाँ उन का हाल क्या होगा
बस आ भी जाओ बदल दें हयात की तक़दीर
हमारे साथ ज़माने का फ़ैसला होगा
ख़याल-ए-क़ुर्बत-ए-महबूब छोड़ दामन छोड़
कि मेरा फ़र्ज़ मिरी राह देखता होगा
बस एक नारा-ए-रिंदाना एक ज़ुरअ-ए-तल्ख़
फिर उस के बाद जो आलम भी हो नया होगा
मुझी से शिकवा-ए-गुस्ताख़ी-ए-नज़र क्यूँ है
तुम्हें तो सारा ज़माना ही देखता होगा
'असद' को तुम नहीं पहचानते तअज्जुब है
उसे तो शहर का हर शख़्स जानता होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asad Bhopali
our suggestion based on Asad Bhopali
As you were reading Hijr Shayari Shayari