na saathi hai na manzil ka pata hai | न साथी है न मंज़िल का पता है

  - Asad Bhopali

na saathi hai na manzil ka pata hai
mohabbat raasta hi raasta hai

wafa ke naam par barbaad ho kar
wafa ke naam se dil kaanpata hai

main ab tere siva kis ko pukaaroon
muqaddar so gaya gham jaagta hai

vo sab kuchh jaan kar anjaan kyun hain
suna hai dil ko dil pahchaanta hai

ye aansu dhundhta hai tera daaman
musaafir apni manzil jaanta hai

न साथी है न मंज़िल का पता है
मोहब्बत रास्ता ही रास्ता है

वफ़ा के नाम पर बर्बाद हो कर
वफ़ा के नाम से दिल काँपता है

मैं अब तेरे सिवा किस को पुकारूँ
मुक़द्दर सो गया ग़म जागता है

वो सब कुछ जान कर अंजान क्यूँ हैं
सुना है दिल को दिल पहचानता है

ये आँसू ढूँडता है तेरा दामन
मुसाफ़िर अपनी मंज़िल जानता है

  - Asad Bhopali

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Asad Bhopali

As you were reading Shayari by Asad Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Asad Bhopali

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari