do-jahaan se maavra ho jaayega
jo tire gham mein fana ho jaayega
dard jab dil se juda ho jaayega
saaz-e-hasti be-sada ho jaayega
dekhiye ahad-e-wafaa achha nahin
marna jeena saath ka ho jaayega
be-nateeja hai khayaal-e-tark-e-raah
phir kisi din saamna ho jaayega
ab thehar ja yaad-e-jaanaan ro to luun
farz-e-tanhaai ada ho jaayega
lahza lahza rakh khayaal-e-husn-e-dost
lamha lamha kaam ka ho jaayega
zauq-e-azm-e-ba-amal darkaar hai
aag mein bhi raasta ho jaayega
apni jaanib jab nazar uth jaayegi
zarra zarra aaina ho jaayega
दो-जहाँ से मावरा हो जाएगा
जो तिरे ग़म में फ़ना हो जाएगा
दर्द जब दिल से जुदा हो जाएगा
साज़-ए-हस्ती बे-सदा हो जाएगा
देखिए अहद-ए-वफ़ा अच्छा नहीं
मरना जीना साथ का हो जाएगा
बे-नतीजा है ख़याल-ए-तर्क-ए-राह
फिर किसी दिन सामना हो जाएगा
अब ठहर जा याद-ए-जानाँ रो तो लूँ
फ़र्ज़-ए-तन्हाई अदा हो जाएगा
लहज़ा लहज़ा रख ख़याल-ए-हुस्न-ए-दोस्त
लम्हा लम्हा काम का हो जाएगा
ज़ौक़-ए-अज़्म-ए-बा-अमल दरकार है
आग में भी रास्ता हो जाएगा
अपनी जानिब जब नज़र उठ जाएगी
ज़र्रा ज़र्रा आईना हो जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asad Bhopali
our suggestion based on Asad Bhopali
As you were reading Udasi Shayari Shayari