aisi bhi kya udri hai khabar dekh kar mujhe
sab ferne lage hain nazar dekh kar mujhe
kyun chhut nahin raha hai siyah-raat ka dhuaan
kyun munh chhupa rahi hai sehar dekh kar mujhe
dono hi ro pade hain sar-e-mausam-e-khizan
main dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe
maanoos ho chuka hai meri aahaton se ghar
khul ja rahe hain aap hi dar dekh kar mujhe
yun to hazaar ranj the shikwe gile bhi the
kuchh bhi na kah saka vo magar dekh kar mujhe
ऐसी भी क्या उड़ी है ख़बर देख कर मुझे
सब फेरने लगे हैं नज़र देख कर मुझे
क्यों छुट नहीं रहा है सियह-रात का धुआँ
क्यों मुँह छुपा रही है सहर देख कर मुझे
दोनों ही रो पड़े हैं सर-ए-मौसम-ए-ख़िज़ाँ
मैं देख कर शजर को शजर देख कर मुझे
मानूस हो चुका है मिरी आहटों से घर
खुल जा रहे हैं आप ही दर देख कर मुझे
यूँ तो हज़ार रंज थे शिकवे गिले भी थे
कुछ भी न कह सका वो मगर देख कर मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Ghar Shayari Shayari