hamaare sar pe tab koi jahaan hota nahin tha
zameen hoti thi lekin aasmaan hota nahin tha
ham akshar khel mein haare hain us se is tarah bhi
wahin par dhoondte the vo jahaan hota nahin tha
nikalte the hamaare baat ke matlab hazaaron
jo kehna chahte the vo bayaan hota nahin tha
main khaali waqt mein toote sitaare jodta tha
tumhaara hijr aisa raayegaan hota nahin tha
khuda bhi saath rehta tha hamaare is zameen par
ye tab ki baat hai jab aasmaan hota nahin tha
hamaari qurbaten kya theen faqat ik waqia theen
aur aisa waqia jo dastaan hota nahin tha
हमारे सर पे तब कोई जहाँ होता नहीं था
ज़मीं होती थी लेकिन आसमाँ होता नहीं था
हम अक्सर खेल में हारे हैं उस से इस तरह भी
वहीं पर ढूँडते थे वो जहाँ होता नहीं था
निकलते थे हमारे बात के मतलब हज़ारों
जो कहना चाहते थे वो बयाँ होता नहीं था
मैं ख़ाली वक़्त में टूटे सितारे जोड़ता था
तुम्हारा हिज्र ऐसा राएगाँ होता नहीं था
ख़ुदा भी साथ रहता था हमारे इस ज़मीं पर
ये तब की बात है जब आसमाँ होता नहीं था
हमारी क़ुर्बतें क्या थीं फ़क़त इक वाक़िआ' थीं
और ऐसा वाक़िआ' जो दास्ताँ होता नहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Baaten Shayari Shayari