shab-e-siyaah guzarti hai kin azaabon mein | शब-ए-सियाह गुज़रती है किन अज़ाबों में

  - Ashu Mishra

shab-e-siyaah guzarti hai kin azaabon mein
bikharte shehar ke manzar hain mere khwaabon mein

ye aap ginie ki laashein kidhar ziyaada hain
main tang-dast hoon is tarah ke hisaabon mein

likha hua tha ki ik doosre se pyaar karo
jale gharo se mili adh-jali kitaabon mein

sukoon ka koi bhi lamha hamein naseeb nahin
khushi ki koi bhi sargam nahin rabaabon mein

main baat baat pe rone laga hoon so yaarab
tu meri khaamoshi ko darj kar jawaabon mein

शब-ए-सियाह गुज़रती है किन अज़ाबों में
बिखरते शहर के मंज़र हैं मेरे ख़्वाबों में

ये आप गिनिए की लाशें किधर ज़ियादा हैं
मैं तंग-दस्त हूँ इस तरह के हिसाबों में

लिखा हुआ था कि इक दूसरे से प्यार करो
जले घरों से मिली अध-जली किताबों में

सुकूँ का कोई भी लम्हा हमें नसीब नहीं
ख़ुशी की कोई भी सरगम नहीं रबाबों में

मैं बात बात पे रोने लगा हूँ सो यारब
तू मेरी ख़ामुशी को दर्ज कर जवाबों में

  - Ashu Mishra

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashu Mishra

As you were reading Shayari by Ashu Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ashu Mishra

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari