jaisa bhi sochta hai tu waisa nahin hoon main
jaisa tu chahta hai bas aisa nahin hoon main
har koii todne mein hi mujhko laga hai sirf
samjhaaye inko koii ki rishta nahin hoon main
kab se hoon muntazir vo mera haal pooch len
aur muskuraake main kahoon achha nahin hoon main
aandhi ko chahiye ki vo mera kare adab
khidki ke paas rehta hoon bujhta nahin hoon main
meri kami nahin jo main roshan nahin hua
aisi hateliyon pe hi khilta nahin hoon main
ya to piya gaya ya giraaya gaya mujhe
bottle mein jo bacha hai vo hissa nahin hoon main
dariya ko paar main karoon rasta nikaalkar
nave mujhe bhi chahiye moosa nahin hoon main
tere badan kii justuju kal thi na aaj hai
yaani ki tujhse pyaar hi karta nahin hoon main
ik baar kho diya mujhe phir kho diya mujhe
khudko bhi baar baar main milta nahin hoon main
kitni dafa hue hain ye dushman pe be-asar
ab teer dosti ke chalaata nahin hoon main
जैसा भी सोचता है तू वैसा नहीं हूँ मैं
जैसा तू चाहता है बस ऐसा नहीं हूँ मैं
हर कोई तोड़ने में ही मुझको लगा है सिर्फ़
समझाए इनको कोई कि रिश्ता नहीं हूँ मैं
कब से हूँ मुंतज़िर वो मेरा हाल पूछ लें
और मुस्कुराके मैं कहूँ अच्छा नहीं हूँ मैं
आँधी को चाहिए कि वो मेरा करे अदब
खिड़की के पास रहता हूँ बुझता नहीं हूँ मैं
मेरी कमी नहीं जो मैं रोशन नहीं हुआ
ऐसी हथेलियों पे ही खिलता नहीं हूँ मैं
या तो पिया गया या गिराया गया मुझे
बोतल में जो बचा है वो हिस्सा नहीं हूँ मैं
दरिया को पार मैं करूँ रस्ता निकालकर
नावें मुझे भी चाहिए मूसा नहीं हूँ मैं
तेरे बदन की जुस्तुजू कल थी न आज है
यानी कि तुझसे प्यार ही करता नहीं हूँ मैं
इक बार खो दिया मुझे फिर खो दिया मुझे
ख़ुदको भी बार बार मैं मिलता नहीं हूँ मैं
कितनी दफ़ा हुए हैं ये दुश्मन पे बे-असर
अब तीर दोस्ती के चलाता नहीं हूँ मैं
As you were reading Shayari by Abdulla Asif
our suggestion based on Abdulla Asif
As you were reading undefined Shayari