jigar aur dil ko bachaana bhi hai
nazar aap hi se milaana bhi hai
mohabbat ka har bhed paana bhi hai
magar apna daaman bachaana bhi hai
jo dil tere gham ka nishaana bhi hai
qatil-e-jafa-e-zamaana bhi hai
ye bijli chamakti hai kyun dam-b-dam
chaman mein koi aashiyana bhi hai
khird ki itaaat zaroori sahi
yahi to junoon ka zamaana bhi hai
na duniya na uqba kahaan jaaie
kahi ahl-e-dil ka thikaana bhi hai
mujhe aaj saahil pe rone bhi do
ki toofaan mein muskurana bhi hai
zamaane se aage to badhiye majaaz
zamaane ko aage badhaana bhi hai
जिगर और दिल को बचाना भी है
नज़र आप ही से मिलाना भी है
मोहब्बत का हर भेद पाना भी है
मगर अपना दामन बचाना भी है
जो दिल तेरे ग़म का निशाना भी है
क़तील-ए-जफ़ा-ए-ज़माना भी है
ये बिजली चमकती है क्यूँ दम-ब-दम
चमन में कोई आशियाना भी है
ख़िरद की इताअत ज़रूरी सही
यही तो जुनूँ का ज़माना भी है
न दुनिया न उक़्बा कहाँ जाइए
कहीं अहल-ए-दिल का ठिकाना भी है
मुझे आज साहिल पे रोने भी दो
कि तूफ़ान में मुस्कुराना भी है
ज़माने से आगे तो बढ़िए 'मजाज़'
ज़माने को आगे बढ़ाना भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asrar Ul Haq Majaz
our suggestion based on Asrar Ul Haq Majaz
As you were reading Nigaah Shayari Shayari