ye kis maqaam pe thehre qadam tamasha hai | ये किस मक़ाम पे ठहरे क़दम तमाशा है - Aves Sayyad

ye kis maqaam pe thehre qadam tamasha hai
mere khilaaf mera jism-zam tamasha hai

tumhaare gham ne deewana bana ke rakha hai
tumhaari yaad mein phir chashm-e-nam tamasha hai

dilon mein vahshatein rah rah ke rak's karti hain
dilon mein kya ye tamasha bhi kam tamasha hai

bahut se raaste bahut manzilon ke baad khula
haseen raston ki manzil ka gham tamasha hai

hamaari saans mein khushboo tumhaari shaamil hai
hamaari dhadkano mein dam-b-dam tamasha hai

khushi se usne gale lag ke ye kaha sayyad
tumhaare baad tumhaara qalam tamasha hai

ये किस मक़ाम पे ठहरे क़दम तमाशा है
मेरे ख़िलाफ़ मेरा जिस्म-ज़म तमाशा है

तुम्हारे ग़म ने दिवाना बना के रक्खा है
तुम्हारी याद में फिर चश्म-ए-नम तमाशा है

दिलों में वहशतें रह रह के रक़्स करती हैं
दिलों में क्या ये तमाशा भी कम तमाशा है

बहुत से रस्ते बहुत मंज़िलों के बाद खुला
हसीन रस्तों की मंज़िल का ग़म तमाशा है

हमारी साँस में ख़ुशबू तुम्हारी शामिल है
हमारी धड़कनों में दम-ब-दम तमाशा है

ख़ुशी से उसने गले लग के ये कहा 'सय्यद'
तुम्हारे बाद तुम्हारा क़लम तमाशा है

- Aves Sayyad
3 Likes

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari