milte julte hain yahan log zaroorat ke liye | मिलते जुलते हैं यहाँ लोग ज़रूरत के लिए

  - Azhar Nawaz

milte julte hain yahan log zaroorat ke liye
ham tire shehar mein aaye hain mohabbat ke liye

vo bhi aakhir tiri taarif mein hi kharch hua
main ne jo waqt nikala tha shikaayat ke liye

main sitaara hoon magar tez nahin chamkoonga
dekhne waale ki aankhon ki suhoolat ke liye

tum ko batlaaoon ki din bhar vo mere saath raha
haan wahi shakhs jo mashhoor hai ujlat ke liye

sar jhukaaye hue khaamosh jo tum baithe ho
itna kaafi hai mere dost nadaamat ke liye

vo bhi din aaye ki dahleez pe aa kar azhar
paanv rukte hain mere teri ijaazat ke liye

मिलते जुलते हैं यहाँ लोग ज़रूरत के लिए
हम तिरे शहर में आए हैं मोहब्बत के लिए

वो भी आख़िर तिरी तारीफ़ में ही ख़र्च हुआ
मैं ने जो वक़्त निकाला था शिकायत के लिए

मैं सितारा हूँ मगर तेज़ नहीं चमकूँगा
देखने वाले की आँखों की सुहूलत के लिए

तुम को बतलाऊँ कि दिन भर वो मिरे साथ रहा
हाँ वही शख़्स जो मशहूर है उजलत के लिए

सर झुकाए हुए ख़ामोश जो तुम बैठे हो
इतना काफ़ी है मिरे दोस्त नदामत के लिए

वो भी दिन आए कि दहलीज़ पे आ कर 'अज़हर'
पाँव रुकते हैं मिरे तेरी इजाज़त के लिए

  - Azhar Nawaz

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Nawaz

As you were reading Shayari by Azhar Nawaz

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Nawaz

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari