rukh jo zer-e-sumbal-e-pur-pech-o-taab aa jaayega | रुख़ जो ज़ेर-ए-सुंबल-ए-पुर-पेच-ओ-ताब आ जाएगा

  - Bahadur Shah Zafar

rukh jo zer-e-sumbal-e-pur-pech-o-taab aa jaayega
phir ke burj-e-sumble mein aftaab aa jaayega

tera ehsaan hoga qaasid gar shitaab aa jaayega
sabr mujh ko dekh kar khat ka jawaab aa jaayega

ho na betaab itna gar us ka itaab aa jaayega
tu gazab mein ai dil-e-khaana-kharaab aa jaayega

is qadar rona nahin behtar bas ab ashkon ko rok
warna toofaan dekh ai chashm-e-pur-aab aa jaayega

pesh hovega agar tere gunaahon ka hisaab
tang zalim arsa-e-roz-e-hisaab aa jaayega

dekh kar dast-e-sitam mein teri tegh-e-aabdaar
mere har zakham-e-jigar ke munh mein aab aa jaayega

apni chashm-e-mast ki gardish na ai saaqi dikha
dekh chakkar mein abhi jaam-e-sharaab aa jaayega

khoob hoga haan jo seene se nikal jaayega tu
chain mujh ko ai dil-e-pur-iztiraab aa jaayega

ai zafar uth jaayega jab pardaa-e-sharm-o-hijaab
saamne vo yaar mere be-hijaab aa jaayega

रुख़ जो ज़ेर-ए-सुंबल-ए-पुर-पेच-ओ-ताब आ जाएगा
फिर के बुर्ज-ए-सुंबले में आफ़्ताब आ जाएगा

तेरा एहसाँ होगा क़ासिद गर शिताब आ जाएगा
सब्र मुझ को देख कर ख़त का जवाब आ जाएगा

हो न बेताब इतना गर उस का इताब आ जाएगा
तू ग़ज़ब में ऐ दिल-ए-ख़ाना-ख़राब आ जाएगा

इस क़दर रोना नहीं बेहतर बस अब अश्कों को रोक
वर्ना तूफ़ाँ देख ऐ चश्म-ए-पुर-आब आ जाएगा

पेश होवेगा अगर तेरे गुनाहों का हिसाब
तंग ज़ालिम अरसा-ए-रोज़-ए-हिसाब आ जाएगा

देख कर दस्त-ए-सितम में तेरी तेग़-ए-आबदार
मेरे हर ज़ख़्म-ए-जिगर के मुँह में आब आ जाएगा

अपनी चश्म-ए-मस्त की गर्दिश न ऐ साक़ी दिखा
देख चक्कर में अभी जाम-ए-शराब आ जाएगा

ख़ूब होगा हाँ जो सीने से निकल जाएगा तू
चैन मुझ को ऐ दिल-ए-पुर-इज़्तिराब आ जाएगा

ऐ 'ज़फ़र' उठ जाएगा जब पर्दा-ए-शर्म-ओ-हिजाब
सामने वो यार मेरे बे-हिजाब आ जाएगा

  - Bahadur Shah Zafar

Sabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Sabr Shayari Shayari