jis din se tujhe dekha hai aghyaar ke hamraah
seene se nikalti hai to bas aah faqat aah
ummeed-e-karam tujh se karein bhi to karein kya
jo chashm-e karam thi vo hui jaati hai jaan-kaah
kehne ko to hai husn bhi insaaf ka qaail
ye sach hai to phir chaahne waalon ko kabhi chaah
main khaak ka putla hoon tu marmar ka sanam hai
main tujhse shanaasa hoon na tu mujhse hai aagaah
garmi bhi hai thandak bhi talaatum bhi sukoon bhi
kya jaaniye tu asl mein khurshid hai ya maah
ham raah-e-muhabbat ke musaafir bhi ajab hain
manzil thi bahut paas magar bhool gaye raah
ham tere siva aur kisi but ko taraashein
dushman hai koii jis ne udaai hai ye afwaah
jab zikr chhida mera to awaaz ye aayi
is daur mein aise bhi koii hota hai gumraah
misra hi padha tha ki bashar bol pade sab
ai waah miyaan waah miyaan waah miyaan waah
जिस दिन से तुझे देखा है अग़्यार के हमराह
सीने से निकलती है तो बस आह फ़क़त आह
उम्मीद-ए-करम तुझ से करें भी तो करें क्या
जो चश्म-ए करम थी वो हुई जाती है जाँ-काह
कहने को तो है हुस्न भी इन्साफ़ का क़ाइल
ये सच है तो फिर चाहने वालों को कभी चाह
मैं ख़ाक का पुतला हूँ तू मरमर का सनम है
मैं तुझसे शनासा हूँ न तू मुझसे है आगाह
गर्मी भी है ठंडक भी तलातुम भी सुकूँ भी
क्या जानिए तू अस्ल में ख़ुर्शीद है या माह
हम राह-ए-मुहब्बत के मुसाफ़िर भी अजब हैं
मंज़िल थी बहुत पास मगर भूल गए राह
हम तेरे सिवा और किसी बुत को तराशें
दुश्मन है कोई जिस ने उड़ाई है ये अफ़वाह
जब ज़िक्र छिड़ा मेरा तो आवाज़ ये आई
इस दौर में ऐसे भी कोई होता है गुमराह
मिसरा ही पढ़ा था कि 'बशर' बोल पड़े सब
ऐ वाह मियाँ वाह मियाँ वाह मियाँ वाह
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari