ye nemat bhi kisi se kam nahin hai
hamaare paas apni sarzameen hai
main hijrat kar gaya hoon bastiyon se
magar ye dil mera ab tak wahin hai
ye mujhko raas aaye ya na aaye
magar is shehar ka mausam haseen hai
tumhein kyun bad-gumaani ho rahi hai
mujhe to is muhabbat par yaqeen hai
bala ki furqatein kaatee hain lekin
hamaara hausla toota nahin hai
agar manzil na mil paaye to bhi kya
bashar ye raasta to dil-nasheen hai
ये नेमत भी किसी से कम नहीं है
हमारे पास अपनी सरज़मीं है
मैं हिजरत कर गया हूँ बस्तियों से
मगर ये दिल मिरा अब तक वहीं है
ये मुझको रास आए या न आए
मगर इस शहर का मौसम हसीं है
तुम्हें क्यों बद-गुमानी हो रही है
मुझे तो इस मुहब्बत पर यक़ीं है
बला की फ़ुर्क़तें काटी हैं लेकिन
हमारा हौसला टूटा नहीं है
अगर मंज़िल न मिल पाए तो भी क्या
'बशर' ये रास्ता तो दिल-नशीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading Aawargi Shayari Shayari