log toot jaate hain ek ghar banaane mein
tum taras nahin khaate bastiyaan jalane mein
aur jaam tootenge is sharaab-khaane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein
har dhadakte patthar ko log dil samjhte hain
umren beet jaati hain dil ko dil banaane mein
faakhta ki majboori ye bhi kah nahin sakti
kaun saanp rakhta hai us ke aashiyaane mein
doosri koi ladki zindagi mein aayegi
kitni der lagti hai us ko bhool jaane mein
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में
और जाम टूटेंगे इस शराब-ख़ाने में
मौसमों के आने में मौसमों के जाने में
हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में
फ़ाख़्ता की मजबूरी ये भी कह नहीं सकती
कौन साँप रखता है उस के आशियाने में
दूसरी कोई लड़की ज़िंदगी में आएगी
कितनी देर लगती है उस को भूल जाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Bebas Shayari Shayari