socha nahin achha bura dekha suna kuchh bhi nahin
maanga khuda se raat din tere siva kuchh bhi nahin
socha tujhe dekha tujhe chaaha tujhe pooja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuchh bhi nahin
jis par hamaari aankh ne moti bichhaaye raat bhar
bheja wahi kaaghaz use ham ne likha kuchh bhi nahin
ik shaam ke saaye tale baithe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kaha kuchh bhi nahin
ehsaas ki khushboo kahaan awaaz ke jugnoo kahaan
khaamosh yaadon ke siva ghar mein raha kuchh bhi nahin
do-chaar din ki baat hai dil khaak mein mil jaayega
jab aag par kaaghaz rakha baaki bacha kuchh bhi nahin
सोचा नहीं अच्छा बुरा देखा सुना कुछ भी नहीं
माँगा ख़ुदा से रात दिन तेरे सिवा कुछ भी नहीं
सोचा तुझे देखा तुझे चाहा तुझे पूजा तुझे
मेरी ख़ता मेरी वफ़ा तेरी ख़ता कुछ भी नहीं
जिस पर हमारी आँख ने मोती बिछाए रात भर
भेजा वही काग़ज़ उसे हम ने लिखा कुछ भी नहीं
इक शाम के साए तले बैठे रहे वो देर तक
आँखों से की बातें बहुत मुँह से कहा कुछ भी नहीं
एहसास की ख़ुशबू कहाँ आवाज़ के जुगनू कहाँ
ख़ामोश यादों के सिवा घर में रहा कुछ भी नहीं
दो-चार दिन की बात है दिल ख़ाक में मिल जाएगा
जब आग पर काग़ज़ रखा बाक़ी बचा कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Gulshan Shayari Shayari