mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila | मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला

  - Bashir Badr

mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila
agar gale nahin milta to haath bhi na mila

gharo pe naam the naamon ke saath ohde the
bahut talash kiya koi aadmi na mila

tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
phir us ke ba'ad mujhe koi ajnabi na mila

khuda ki itni badi kaayenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maanga mujhe wahi na mila

bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
vo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila

मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला

तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उस के बा'द मुझे कोई अजनबी न मिला

ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला

बहुत अजीब है ये क़ुर्बतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला

  - Bashir Badr

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari