wahi taaj hai wahi takht hai wahi zahar hai wahi jaam hai | वही ताज है वही तख़्त है वही ज़हर है वही जाम है

  - Bashir Badr

wahi taaj hai wahi takht hai wahi zahar hai wahi jaam hai
ye wahi khuda ki zameen hai ye wahi buton ka nizaam hai

bade shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aayegi
ye zabaan kisi ne khareed li ye qalam kisi ka ghulaam hai

yahan ek bacche ke khoon se jo likha hua hai use padhen
tira keertan abhi paap hai abhi mera sajda haraam hai

main ye maanta hoon mere diye tiri aandhiyon ne bujha diye
magar ek jugnoo hawaon mein abhi raushni ka imaam hai

mere fikr-o-fan tiri anjuman na urooj tha na zawaal hai
mere lab pe tera hi naam tha mere lab pe tera hi naam hai

वही ताज है वही तख़्त है वही ज़हर है वही जाम है
ये वही ख़ुदा की ज़मीन है ये वही बुतों का निज़ाम है

बड़े शौक़ से मिरा घर जला कोई आँच तुझ पे न आएगी
ये ज़बाँ किसी ने ख़रीद ली ये क़लम किसी का ग़ुलाम है

यहाँ एक बच्चे के ख़ून से जो लिखा हुआ है उसे पढ़ें
तिरा कीर्तन अभी पाप है अभी मेरा सज्दा हराम है

मैं ये मानता हूँ मिरे दिए तिरी आँधियों ने बुझा दिए
मगर एक जुगनू हवाओं में अभी रौशनी का इमाम है

मिरे फ़िक्र-ओ-फ़न तिरी अंजुमन न उरूज था न ज़वाल है
मिरे लब पे तेरा ही नाम था मिरे लब पे तेरा ही नाम है

  - Bashir Badr

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari