ik pari ke saath maujon par tahalta raat ko | इक परी के साथ मौजों पर टहलता रात को - Bashir Badr

ik pari ke saath maujon par tahalta raat ko
ab bhi ye qudrat kahaan hai aadmi ki zaat ko

jin ka saara jism hota hai hamaari hi tarah
phool kuchh aise bhi khilte hain hamesha raat ko

ek ik kar ke sabhi kapde badan se gir chuke
subh phir ham ye kafan pahnaayenge jazbaat ko

peeche peeche raat thi taaron ka ik lashkar liye
rail ki patri pe suraj chal raha tha raat ko

aab o khaak o baad mein bhi lehar vo aa jaaye hai
surkh kar deti hai dam bhar mein jo peeli dhaat ko

subh bistar band hai jis mein lipt jaate hain ham
ik safar ke ba'ad phir khulte hain aadhi raat ko

sar pe suraj ke hamaare pyaar ka saaya rahe
maamta ka jism maange zindagi ki baat ko

इक परी के साथ मौजों पर टहलता रात को
अब भी ये क़ुदरत कहाँ है आदमी की ज़ात को

जिन का सारा जिस्म होता है हमारी ही तरह
फूल कुछ ऐसे भी खिलते हैं हमेशा रात को

एक इक कर के सभी कपड़े बदन से गिर चुके
सुब्ह फिर हम ये कफ़न पहनाएँगे जज़्बात को

पीछे पीछे रात थी तारों का इक लश्कर लिए
रेल की पटरी पे सूरज चल रहा था रात को

आब ओ ख़ाक ओ बाद में भी लहर वो आ जाए है
सुर्ख़ कर देती है दम भर में जो पीली धात को

सुब्ह बिस्तर बंद है जिस में लिपट जाते हैं हम
इक सफ़र के बा'द फिर खुलते हैं आधी रात को

सर पे सूरज के हमारे प्यार का साया रहे
मामता का जिस्म माँगे ज़िंदगी की बात को

- Bashir Badr
5 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari