abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palkein sanvaar loon | अभी इस तरफ़ न निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें संवार लूं

  - Bashir Badr

abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palkein sanvaar loon
mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utaar loon

main tamaam din ka thaka hua tu tamaam shab ka jaga hua
zara thehar ja isee mod par tere saath shaam guzaar loon

agar aasmaan ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayaam ho
to main motiyon ki dukaan se tiri baaliyaan tire haar loon

kahi aur baant de shohraten kahi aur bakhsh de izzaten
mere paas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubaar loon

kai ajnabi tiri raah mein mere paas se yoon guzar gaye
jinhen dekh kar ye tadap hui tira naam le ke pukaar loon

अभी इस तरफ़ न निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें संवार लूं
मिरा लफ़्ज़ लफ़्ज़ हो आईना तुझे आइने में उतार लूं

मैं तमाम दिन का थका हुआ तू तमाम शब का जगा हुआ
ज़रा ठहर जा इसी मोड़ पर तेरे साथ शाम गुज़ार लूं

अगर आसमां की नुमाइशों में मुझे भी इज़्न-ए-क़याम हो
तो मैं मोतियों की दुकान से तिरी बालियां तिरे हार लूं

कहीं और बांट दे शोहरतें कहीं और बख़्श दे इज़्ज़तें
मिरे पास है मिरा आईना मैं कभी न गर्द-ओ-ग़ुबार लूं

कई अजनबी तिरी राह में मिरे पास से यूं गुज़र गए
जिन्हें देख कर ये तड़प हुई तिरा नाम ले के पुकार लूं

  - Bashir Badr

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari