kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho | कभी यूँ भी आ मिरी आँख में कि मिरी नज़र को ख़बर न हो

  - Bashir Badr

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar is ke ba'ad sehar na ho

vo bada raheem o kareem hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karoon to meri dua mein asar na ho

mere baazuon mein thaki thaki abhi mahv-e-khwaab hai chaandni
na uthe sitaaron ki paalki abhi aahaton ka guzar na ho

ye ghazal ki jaise hiran ki aankh mein pichhli raat ki chaandni
na bujhe kharaabe ki raushni kabhi be-charaagh ye ghar na ho

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho

कभी यूँ भी आ मिरी आँख में कि मिरी नज़र को ख़बर न हो
मुझे एक रात नवाज़ दे मगर इस के बा'द सहर न हो

वो बड़ा रहीम ओ करीम है मुझे ये सिफ़त भी अता करे
तुझे भूलने की दुआ करूँ तो मिरी दुआ में असर न हो

मिरे बाज़ुओं में थकी थकी अभी महव-ए-ख़्वाब है चाँदनी
न उठे सितारों की पालकी अभी आहटों का गुज़र न हो

ये ग़ज़ल कि जैसे हिरन की आँख में पिछली रात की चाँदनी
न बुझे ख़राबे की रौशनी कभी बे-चराग़ ये घर न हो

कभी दिन की धूप में झूम के कभी शब के फूल को चूम के
यूँ ही साथ साथ चलें सदा कभी ख़त्म अपना सफ़र न हो

  - Bashir Badr

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari