dua karo ki ye pauda sada haraa hi lage | दुआ करो कि ये पौदा सदा हरा ही लगे

  - Bashir Badr

dua karo ki ye pauda sada haraa hi lage
udaasiyon mein bhi chehra khila khila hi lage

vo saadgi na kare kuchh bhi to ada hi lage
vo bhol-pan hai ki bebaki bhi haya hi lage

ye zaafraani pulovar usi ka hissa hai
koi jo doosra pahne to doosra hi lage

nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
ye khidki kholo zara subh ki hawa hi lage

ajeeb shakhs hai naaraz ho ke hansta hai
main chahta hoon khafa ho to vo khafa hi lage

haseen to aur hain lekin koi kahaan tujh sa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilruba hi lage

hazaaron bhes mein firte hain raam aur raheem
koi zaroori nahin hai bhala bhala hi lage

दुआ करो कि ये पौदा सदा हरा ही लगे
उदासियों में भी चेहरा खिला खिला ही लगे

वो सादगी न करे कुछ भी तो अदा ही लगे
वो भोल-पन है कि बेबाकी भी हया ही लगे

ये ज़ाफ़रानी पुलओवर उसी का हिस्सा है
कोई जो दूसरा पहने तो दूसरा ही लगे

नहीं है मेरे मुक़द्दर में रौशनी न सही
ये खिड़की खोलो ज़रा सुब्ह की हवा ही लगे

अजीब शख़्स है नाराज़ हो के हँसता है
मैं चाहता हूँ ख़फ़ा हो तो वो ख़फ़ा ही लगे

हसीं तो और हैं लेकिन कोई कहाँ तुझ सा
जो दिल जलाए बहुत फिर भी दिलरुबा ही लगे

हज़ारों भेस में फिरते हैं राम और रहीम
कोई ज़रूरी नहीं है भला भला ही लगे

  - Bashir Badr

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari