khoon patton pe jama ho jaise
phool ka rang haraa ho jaise
baarha ye hamein mehsoos hua
dard seene ka khuda ho jaise
yun taras kha ke na poocho ahvaal
teer seene pe laga ho jaise
phool ki aankh mein shabnam kyun hai
sab hamaari hi khata ho jaise
kirchen chubhti hain bahut seene mein
aaina toot gaya ho jaise
sab hamein dekhne aate hain magar
neend aankhon se khafa ho jaise
ab charaagon ki zaroorat bhi nahin
chaand is dil mein chhupa ho jaise
ख़ून पत्तों पे जमा हो जैसे
फूल का रंग हरा हो जैसे
बारहा ये हमें महसूस हुआ
दर्द सीने का ख़ुदा हो जैसे
यूँ तरस खा के न पूछो अहवाल
तीर सीने पे लगा हो जैसे
फूल की आँख में शबनम क्यूँ है
सब हमारी ही ख़ता हो जैसे
किर्चें चुभती हैं बहुत सीने में
आइना टूट गया हो जैसे
सब हमें देखने आते हैं मगर
नींद आँखों से ख़फ़ा हो जैसे
अब चराग़ों की ज़रूरत भी नहीं
चाँद इस दिल में छुपा हो जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Khafa Shayari Shayari