be-tahaasha si la-ubaali hasi | बे-तहाशा सी ला-उबाली हँसी

  - Bashir Badr

be-tahaasha si la-ubaali hasi
chin gai ham se vo jiyaali hasi

lab khule jism muskuraane laga
phool ka khilna tha ki daali hasi

muskuraai khuda ki mahviyyat
ya hamaari hi be-khayaali hasi

kaun be-dard cheen leta hai
mere phoolon ki bholi-bhaali hasi

vo nahin tha wahan to kaun tha phir
sabz patton mein kaise laali hasi

dhoop mein khet gungunaane lage
jab koi gaav ki jiyaali hasi

hans padi shaam ki udaas fazaa
is tarah chaai ki pyaali hasi

main kahi jaaun hai ta'aqub mein
us ki vo jaan lene waali hasi

बे-तहाशा सी ला-उबाली हँसी
छिन गई हम से वो जियाली हँसी

लब खुले जिस्म मुस्कुराने लगा
फूल का खिलना था कि डाली हँसी

मुस्कुराई ख़ुदा की मह्विय्यत
या हमारी ही बे-ख़याली हँसी

कौन बे-दर्द छीन लेता है
मेरे फूलों की भोली-भाली हँसी

वो नहीं था वहाँ तो कौन था फिर
सब्ज़ पत्तों में कैसे लाली हँसी

धूप में खेत गुनगुनाने लगे
जब कोई गाँव की जियाली हँसी

हँस पड़ी शाम की उदास फ़ज़ा
इस तरह चाय की प्याली हँसी

मैं कहीं जाऊँ है तआ'क़ुब में
उस की वो जान लेने वाली हँसी

  - Bashir Badr

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari