mere seene par vo sar rakhe hue sota raha
jaane kya thi baat main jaaga kiya rota raha
shabnami mein dhoop ki jaise watan ka khwaab tha
log ye samjhe main sabze par pada sota raha
vaadiyon mein gaah utara aur kabhi parbat chadha
bojh sa ik dil pe rakha hai jise dhota raha
gaah paani gaah shabnam aur kabhi khoonaab se
ek hi tha daagh seene mein jise dhota raha
ik hawaa-e-be-takaan se aakhirsh murjha gaya
zindagi bhar jo mohabbat ke shajar bota raha
rone waalon ne utha rakha tha ghar sar par magar
umr bhar ka jaagne waala pada sota raha
raat ki palkon pe taaron ki tarah jaaga kiya
subh ki aankhon mein shabnam ki tarah rota raha
raushni ko rang kar ke le gaye jis raat log
koi saaya mere kamre mein chhupa rota raha
मेरे सीने पर वो सर रक्खे हुए सोता रहा
जाने क्या थी बात मैं जागा किया रोता रहा
शबनमी में धूप की जैसे वतन का ख़्वाब था
लोग ये समझे मैं सब्ज़े पर पड़ा सोता रहा
वादियों में गाह उतरा और कभी पर्बत चढ़ा
बोझ सा इक दिल पे रक्खा है जिसे ढोता रहा
गाह पानी गाह शबनम और कभी ख़ूनाब से
एक ही था दाग़ सीने में जिसे धोता रहा
इक हवा-ए-बे-तकाँ से आख़िरश मुरझा गया
ज़िंदगी भर जो मोहब्बत के शजर बोता रहा
रोने वालों ने उठा रक्खा था घर सर पर मगर
उम्र भर का जागने वाला पड़ा सोता रहा
रात की पलकों पे तारों की तरह जागा किया
सुब्ह की आँखों में शबनम की तरह रोता रहा
रौशनी को रंग कर के ले गए जिस रात लोग
कोई साया मेरे कमरे में छुपा रोता रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Aadmi Shayari Shayari