kaun aaya raaste aaina-khaane ho gaye | कौन आया रास्ते आईना-ख़ाने हो गए - Bashir Badr

kaun aaya raaste aaina-khaane ho gaye
raat raushan ho gai din bhi suhaane ho gaye

kyun haveli ke ujadne ka mujhe afsos ho
saikron be-ghar parindon ke thikaane ho gaye

jaao un kamron ke aaine utha kar fenk do
be-adab ye kah rahe hain hum purane ho gaye

ye bhi mumkin hai ki main ne us ko pahchaana na ho
ab use dekhe hue kitne zamaane ho gaye

palkon par ye aansu pyaar ki tauheen the
aankhon se gire moti ke daane ho gaye

कौन आया रास्ते आईना-ख़ाने हो गए
रात रौशन हो गई दिन भी सुहाने हो गए

क्यूँ हवेली के उजड़ने का मुझे अफ़्सोस हो
सैकड़ों बे-घर परिंदों के ठिकाने हो गए

जाओ उन कमरों के आईने उठा कर फेंक दो
बे-अदब ये कह रहे हैं हम पुराने हो गए

ये भी मुमकिन है कि मैं ने उस को पहचाना न हो
अब उसे देखे हुए कितने ज़माने हो गए

पलकों पर ये आँसू प्यार की तौहीन थे
आँखों से गिरे मोती के दाने हो गए

- Bashir Badr
1 Like

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari